ziist kyā hai himāqatoñ ke sivā
chand zālim sadāqatoñ ke sivā
ham ne dānishvaroñ se kyā sīkhā
uljhī uljhī ibāratoñ ke sivā
fan ko virse meñ kyā diyā ham ne
ḳhūbsūrat alāmatoñ ke sivā
ham ne is zindagī se kyā paayā
chand zehnī rafāqatoñ ke sivā
in baḌī tāqatoñ ke paas hai kyā
chhoTī chhoTī raqābatoñ ke sivā
āstīnoñ meñ dostoñ kī hai kyā
pas-e-parda adāvatoñ ke sivā
kyā hai tahzīb-e-maġhribī kā nishāñ
ūñchī ūñchī imāratoñ ke sivā
ye siyāsat kī garmi-e-raftār
kyā hai mohmal bujhāratoñ ke sivā
kyā liyā ham ne apne maazī se
nīm-murda rivāyatoñ ke sivā
apnī manzil nahīñ koī shāyad
jaan levā masāfatoñ ke sivā
apnā sarmāya-e-hayāt hai kyā
rañg-dar-rañg sā.atoñ ke sivā