Taimur Hasan

wo kam-suKHan na tha par baat soch kar karta

Taimur Hasan

Lahore, Punjab, Pakistan

1974
vo kam-suḳhan na thā par baat soch kar kartā
yahī salīqa use sab meñ mo'tabar kartā
na jaane kitnī ġhalat-fahmiyāñ janam letīñ
maiñ asl baat se pahlū-tahī agar kartā
maiñ sochtā huuñ kahāñ baat is qadar baḌhtī
agar maiñ tere ravayye se dar-guzar kartā
mirā adū to thā ilm-ul-kalām kā māhir
mire ḳhilāf zamāne ko bol kar kartā
akele jañg laḌī jiit lī to sab ne kahā
pahuñchte ham bhī agar tū hameñ ḳhabar kartā
mirī bhī chhāñv na hotī agar tumhārī tarah
maiñ inhisār buzurgoñ ke saa.e par kartā
safar meñ hotī hai pahchān kaun kaisā hai
ye aarzū thī mire saath tū safar kartā
ga.e dinoñ meñ ye ma.amūl thā mirā 'taimūr'
ziyāda vaqt maiñ ik ḳhvāb meñ basar kartā
Top Urdushayar.com