Ishrat Anwar

chand par hai mujhe tera hi guman aaj ki raat

Ishrat Anwar

chāñd par hai mujhe terā hī gumāñ aaj kī raat
sūjhtā hī nahīñ kuchh sūd-o-ziyāñ aaj kī raat
dard-e-insān meñ insān miTā jaatā hai
ik na.e ahd kā miltā hai nishāñ aaj kī raat
jāma-e-hastī-e-insāñ hai ba-rañg-e-mātam
uTh rahā hai sham-e-sozāñ se dhuāñ aaj kī raat
ik na.e moḌ pe hai dard-e-mohabbat apnā
dārū-e-dard hai ḳhud dard-e-jahāñ aaj kī raat
ai sitāroñ ke ḳhudāvand ye kyā aalam hai
chāñdnī meñ bhī hai tārīk jahāñ aaj kī raat
kyā hai me.arāj yahī dard kī lazzat apnī
kyā isī meñ haiñ rumūz-e-do-jahāñ aaj kī raat
duur se aatī haiñ kānoñ meñ diloñ kī aaheñ
kyā inhīñ meñ hai ḳhudā-vand-e-jahāñ aaj kī raat
jo bhī mazlūm hai dil us ke liye rotā hai
merī har saañs meñ hai shor-e-fuġhāñ aaj kī raat
Top Urdushayar.com