koī aaj vaj.h-e-junūñ chāhtā huuñ
tumheñ bhuul kar maiñ sukūñ chāhtā huuñ
zamāne kī hālat se vāqif huuñ phir bhī
na jaane ki maiñ tum ko kyuuñ chāhtā huuñ
tumhārī ḳhushī par tumheñ chhoḌ kar ab
tumhārī ḳhushī meñ sukūñ chāhtā huuñ
ḳhafā tum se ho kar ḳhafā tum ko kar ke
mazāq-e-hunar kuchh fuzūñ chāhtā huuñ
varā-e-mohabbat bhī ik zindagī hai
tumheñ phir bhī maiñ kyā kahūñ chāhtā huuñ
sitam kar ke lutf-e-karam pūchhte haiñ
ye tarz-e-karam ab fuzūñ chāhtā huuñ
badaltī nahīñ fitrat-e-dard 'anvar'
sukūñ bhī ye tarz-e-jūn.un chāhtā huuñ