nahīñ aisā bhī ki yaksar nahīñ rahne vaalā
dil meñ ye shor barābar nahīñ rahne vaalā
jis tarah ḳhāmushī lafzoñ meñ Dhalī jaatī hai
is meñ tāsīr kā unsur nahīñ rahne vaalā
ab ye kis shakl meñ zāhir ho, ḳhudā hī jaane
rañj aisā hai ki andar nahīñ rahne vaalā
maiñ use chhoḌnā chāhūñ bhī to kaise chhoḌūñ?
vo kisī aur kā ho kar nahīñ rahne vaalā
ġhaur se dekh un āñkhoñ meñ nazar aatā hai
vo samundar jo samundar nahīñ rahne vaalā
jurm vo karne kā sochā hai ki bas ab kī baar
koī ilzām mire sar nahīñ rahne vaalā
maiñ ne hālāñki bahut vaqt guzārā hai yahāñ
ab maiñ is shahr meñ pal bhar nahīñ rahne vaalā
maslahat lafz pe do harf na bhejūñ? 'javvād'
jab mire saath muqaddar nahīñ rahne vaalā