ye vahm jaane mere dil se kyuuñ nikal nahīñ rahā
ki us kā bhī mirī tarah se jī sambhal nahīñ rahā
koī varaq dikhā jo ashk-e-ḳhūñ se tar-ba-tar na ho
koī ġhazal dikhā jahāñ vo daaġh jal nahīñ rahā
maiñ ek hijr-e-be-murād jheltā huuñ raat din
jo aise sabr kī tarah hai jis kā phal nahīñ rahā
to ab mire tamām rañj mustaqil raheñge kyaa?
to kyā tumhārī ḳhāmushī kā koī hal nahīñ rahā?
kaḌī masāfatoñ ne kis ke paañv shal nahīñ kiye?
koī dikhāo jo bichhaḌ ke haath mal nahīñ rahā