maulā kisī ko aisā muqaddar na dījiyo
dilbar nahīñ to phir koī dīgar na dījiyo
apne savāl sahl na lagne lageñ use
aate bhī hoñ javāb to far-far na dījiyo
chādar vo dījiyo use jis par shikan na aa.e
jis par shikan na aa.e vo bistar na dījiyo
aa.e na kār-e-shukr-guzārī pe koī harf
jab dījiyo to zarf se baḌh kar na dījiyo
bikhrāo kuchh nahīñ bhī simaTte mire aziiz
apne kisī ḳhayāl ko paikar na dījiyo
tafrīq rahne dījiyo tārīf-o-tanz meñ
ab ke sharāb zahr milā kar na dījiyo
yā dil se tark kījiyo dastār kā ḳhayāl
yā us muāmle meñ kabhī sar na dījiyo
kahiyo ki tū ne ḳhuub banā.ī hai kā.enāt
lekin use likhā.ī ke number na dījiyo
me.aar se sivā yahāñ raftār chāhiye
'javvād' us ko āḳhirī over na dījiyo