TūTne par koī aa.e to phir aisā TuuTe
ki jise dekh ke har dekhne vaalā TuuTe
tū use kis ke bharose pe nahīñ kaat rahī??
charḳh ko dekhne vālī!! tirā charḳha TuuTe
apne bikhre hue TukḌoñ ko sameTe kab tak??
ek insān kī ḳhātir koī kitnā TuuTe
koī TukḌā tirī āñkhoñ meñ na chubh jaa.e kahīñ
duur ho jā ki mire ḳhvāb kā shīsha TuuTe
maiñ kisī aur ko sochūñ to mujhe hosh aa.e
maiñ kisī aur ko dekhūñ to ye nashsha TuuTe
rañj hotā hai to aisā ki batā.e na bane
jab kisī apne ke baa.is koī apnā TuuTe
paas baiThe hue yāroñ ko ḳhabar tak na huī
ham kisī baat pe is darja anokhā TuuTe
itnī jaldī to sambhalne kī tavaqqo na karo!!
vaqt hī kitnā huā hai mirā sapnā TuuTe
daad kī bhiik na māñg!! ai mire achchhe shā.er!!
jā tujhe merī duā hai tirā kaasa TuuTe
varna kab tak liye phirtā rahūñ us ko 'javvād'
koī sūrat ho ki ummīd se rishta TuuTe