darguzar jitnā kiyā hai vahī kaafī hai mujhe
ab tujhe qatl bhī kar duuñ to muāfī hai mujhe
mas.ala aise koī hal to na hogā shāyad
sher kahnā hī mire ġham kī talāfī hai mujhe
daf.atan ik na.e ehsās ne chauñkā sā diyā
maiñ to samjhā thā ki har saañs izāfī hai mujhe
maiñ na kahtā thā davā.eñ nahīñ kaam ā.eñgī
jāntā thā tirī āvāz hī shāfī hai mujhe
is se andāza lagāo ki maiñ kis haal meñ huuñ
ġhair kā dhyān bhī ab va.ada-ḳhilāfī hai mujhe
vo kahīñ sāmne aa jaa.e to kyā ho 'javvād'
yaad hī us kī agar sīna-shigāfī hai mujhe