karegā kyā koī mere gale-saḌe aañsū
to kyuuñ na suukh hī jaa.eñ paḌe paḌe aañsū
jo yaad aa.eñ to dil ġham se phaTne lagtā hai
kisī aziiz kī palkoñ meñ vo jaḌe aañsū
huā maiñ apnī tahī-dāmanī se sharminda
kisī kī āñkhoñ meñ the ye baḌe baḌe aañsū
ḳhizāñ meñ patte bhī aise kahāñ jhaḌe hoñge
hamārī āñkhoñ se juuñ hijr meñ jhaḌe aañsū
maiñ is ḳhayāl se jaate hue use na milā
ki rok leñ na kahīñ sāmne khaḌe aañsū
kisī ne ek taraf mar ke bhī gila na kiyā
kisī ne dekhte hī dekhte ghaḌe aañsū
mahārat aisī ki bas dekhte hī rah jaao
nikāltā hai koī yuuñ khaḌe khaḌe aañsū
tumheñ kahā nā ki bas ho ga.e judā ham log
ukhāḌte ho miyāñ kis liye gaḌe aañsū
magar jo zabt ne tūfāñ khaḌe kiye ab ke!!
tamām umr bahāyā kiye baḌe aañsū
ajab gudāz tabī.at hai aap kī 'javvād'
zarā sī baat huī aur chhalak paḌe aañsū