maiñ chāhtā huuñ ki dil meñ tirā ḳhayāl na ho
ajab nahīñ ki mirī zindagī vabāl na ho
maiñ chāhtā huuñ tū yak-dam hī chhoḌ jaa.e mujhe
ye har ghaḌī tire jaane kā ehtimāl na ho
maiñ chāhtā huuñ mohabbat pe ab kī baar aa.e
zavāl aisā ki jis ko kabhī zavāl na ho
maiñ chāhtā huuñ mohabbat sire se miT jaa.e
maiñ chāhtā huuñ use sochnā muhāl na ho
maiñ chāhtā huuñ mohabbat mujhe fanā kar de
fanā bhī aisā ki jis kī koī misāl na ho
maiñ chāhtā huuñ mohabbat mirā vo haal kare
ki ḳhvāb meñ bhī dobāra kabhī majāl na ho
maiñ chāhtā huuñ ki itnā hī rabt rah jaa.e
vo yaad aa.e magar bhūlnā muhāl na ho
maiñ chāhtā huuñ mirī āñkheñ noch lī jaa.eñ
tirā ḳhayāl kisī taur pā.emāl na ho
maiñ chāhtā huuñ ki maiñ zaḳhm zaḳhm ho jā.ūñ
aur is tarah ki kabhī ḳhauf-e-indimāl na ho
mirī misāl ho sab kī nigāh meñ 'javvād'
maiñ chāhtā huuñ kisī aur kā ye haal na ho