Jawad Sheikh

nahin ki pand-o-nasihat ka qaht paD gaya hai

Jawad Sheikh

Sargodha, Punjab, Pakistan

1985
nahīñ ki pand-o-nasīhat kā qaht paḌ gayā hai
hamārī baat meñ barakat kā qaht paḌ gayā hai
to phir ye radd-e-munājāt kī nahūsat kyuuñ
kabhī sunā ki ibādat kā qaht paḌ gayā hai?
malāl ye hai ki is par koī malūl nahīñ
hamāre shahr meñ hairat kā qaht paḌ gayā hai
suḳhan kā khokhlā honā samajh se bāhar thā
khulā ki harf kī hurmat kā qaht paḌ gayā hai
kahīñ kahīñ nazar aa.e to aa.e misra-e-tar
nahīñ to sher meñ lazzat kā qaht paḌ gayā hai
nasīb dil ko bhalā kab rahī farāvānī
aur ab to vaise bhī muddat kā qaht paḌ gayā hai
magar ab aisī bhī koī andher-nagrī nahīñ
ye Thiik hai ki mohabbat kā qaht paḌ gayā hai
nahīñ maiñ sirf ba-zāhir nahīñ huā vīrān
darūn-e-zāt bhī shiddat kā qaht paḌ gayā hai
kahāñ ga.iiñ mire gaañv kī raunaqeñ 'javvād'
to kyā yahāñ bhī rivāyat kā qaht paḌ gayā hai
Top Urdushayar.com