Jawad Sheikh

kahan haTta hai nigahon se haTae hae

Jawad Sheikh

Sargodha, Punjab, Pakistan

1985
kahāñ haTtā hai nigāhoñ se haTā.e haa.e
vahī manzar ki jise dekh na paa.e haa.e
kyā pata saarī tamannā.eñ dhuāñ ho ga.ī hoñ
kuchh nikaltā hī nahīñ dil se sivā.e haa.e
yaad aatī huī ik shakl pe allāh allāh
dil meñ uThtī huī har Tiis pe haa.e haa.e
us galī jā ke bhī sajda na tumheñ yaad rahā
sirf nazreñ hī jhukā.e chale aa.e haa.e
saarī mushkil hī nihāñ hai mirī āsānī meñ
kaun ye ḳhasta sī dīvār girā.e haa.e
roz ik taaza chilam bhar ke mujhe de farhād
aur phir qais mire paañv dabā.e haa.e
dil ke bekār dhaḌakne pe kahāñ ḳhush the miyāñ
ham to phūle na samā.e ba-sadā-e-hā.e
jab vo jaa.e to mujhe kuchh bhī na bhaa.e 'javvād'
aur jab aa.e to kuchh aa.e na jaa.e haa.e
Top Urdushayar.com