Taimur Hasan

bahaunga na main aansu na muskuraunga

Taimur Hasan

Lahore, Punjab, Pakistan

1974
bahā.ūñgā na maiñ aañsū na muskurā.ūñgā
ḳhamosh rah ke salīqe se ġham manā.ūñgā
karūñgā kaam vahī jo diyā gayā hai mujhe
meñ ḳhvāb dekhūñgā aur ḳhvāb hī dikhā.ūñgā
adhūrī baat bhī puurī samajhnī hogī tumheñ
maiñ kuchh batā.ūñgā aur kuchh nahīñ batā.ūñgā
maiñ aaj tak nahīñ maanā huuñ terī duniyā ko
tū maan jaa.e to maiñ us ko maan jā.ūñgā
isī savāl ne sone nahīñ diyā shab bhar
tū mujh se pūchhegā kyā aur maiñ kyā batā.ūñgā
tirī kahānī meñ rakkhūñgā ḳhud ko kuchh aise
maiñ dāstāñ meñ na.ī dāstāñ banā.ūñgā
ye maslahat hai mirī buz-dilī nahīñ 'taimūr'
jahāñ zarūrī huā hausla dikhā.ūñgā
Top Urdushayar.com