us ne koī to dam paḌhā huā hai
jis ne dekhā vo mubtalā huā hai
ab tire rāste se bach niklūñ
ik yahī rāsta bachā huā hai
aao taqrīb-e-rū-numā.ī kareñ
paañv meñ ek aabla huā hai
phir vahī bahs chheḌ dete ho
itnī mushkil se rābta huā hai
raat kī vārdāt mat pūchho
vāqa.ī ek vāqi.a huā hai
lag rahā hai ye narm lahje se
phir tujhe koī mas.ala huā hai
maiñ kahāñ aur vo fasīl kahāñ
fāsle kā hī faisla huā hai
itnā masrūf ho gayā huuñ ki bas
'mīr' bhī ik taraf paḌā huā hai
aaj kuchh bhī nahīñ huā 'javvād'
haañ magar ek sāneha huā hai