Jawad Sheikh

ek taswir ki awwal nahin dekhi jati

Jawad Sheikh

Sargodha, Punjab, Pakistan

1985
ek tasvīr ki avval nahīñ dekhī jaatī
dekh bhī luuñ to musalsal nahīñ dekhī jaatī
dekhī jaatī hai mohabbat meñ har ik jumbish-e-dil
sirf sāñsoñ kī rehearsal nahīñ dekhī jaatī
ik to vaise baḌī tārīk hai ḳhvāhish-nagrī
phir tavīl itnī ki paidal nahīñ dekhī jaatī
aisā kuchh hai bhī nahīñ jis se tujhe bahlāūñ
ye udāsī bhī musalsal nahīñ dekhī jaatī
sāmne ik vahī sūrat nahīñ rahtī aksar
jo kabhī aañkh se ojhal nahīñ dekhī jaatī
maiñ ne ik umr se baTve meñ sambhālī huī hai
vahī tasvīr jo ik pal nahīñ dekhī jaatī
ab mirā dhyān kahīñ aur chalā jaatā hai
ab koī film mukammal nahīñ dekhī jaatī
ik maqām aisā bhī aatā hai safar meñ 'javvād'
sāmne ho bhī to daldal nahīñ dekhī jaatī
Top Urdushayar.com