to kyā ik hamāre liye hī mohabbat nayā tajraba hai
jise pochhiye vo kahegā ki jī haañ baḌā tajraba hai
samajh meñ na aa.e to merī ḳhamoshī ko dil par na lenā
ki ye aql vāloñ kī dānist se māvarā tajraba hai
kaThin to bahut hai magar dil ke rishtoñ ko āzād chhoḌo
tavaqqo.a na bāñdho ki ye ik aziyyat bharā tajraba hai
magar ham musir the ki ham ne kitābeñ bahut paḌh rakhī haiñ
baḌoñ ne kahā bhī ki dekho miyāñ tajraba tajraba hai
vo apnī jagah ḳhush-gumāñ thī ki daa.im hai pahlī mohabbat
maiñ apne ta.iiñ mutma.in thā ki ye dūsrā tajraba hai
kisī aur ke tajarbe se koī fā.eda kyā uThā.eñ
mohabbat meñ har tajraba hī alag tarah kā tajraba hai