Jawad Sheikh

gham-e-jahan se main ukta gaya to kya hoga

Jawad Sheikh

Sargodha, Punjab, Pakistan

1985
ġham-e-jahāñ se maiñ uktā gayā to kyā hogā
ḳhud apnī fikr meñ ghulne lagā to kyā hogā
ye nā-guzīr hai ummīd kī numū ke liye
guzartā vaqt kahīñ tham gayā to kyā hogā
yahī bahut hai ki ham ko sukūñ se jiine de
kisī ke hāthoñ hamārā bhalā to kyā hogā
ye log merī ḳhamoshī pe mujh se nālāñ haiñ
koī ye pūchhe maiñ goyā huā to kyā hogā
maiñ is liye bhī bahut muḳhtalif huuñ logoñ se
vo sochte haiñ ki aisā huā to kyā hogā
junūñ kī raah ajab hai ki paañv dharne ko
zamīn tak bhī nahīñ naqsh-e-pā to kyā hogā
ye ek ḳhauf bhī merī ḳhushī meñ shāmil hai
tirā bhī dhyān agar haT gayā to kyā hogā
jo ho rahā hai vo hotā chalā gayā to phir?
jo hone ko hai vahī ho gayā to kyā hogā
Top Urdushayar.com