Jawad Sheikh

arz-e-alam ba-tarz-e-tamasha bhi chahiye

Jawad Sheikh

Sargodha, Punjab, Pakistan

1985
arz-e-alam ba-tarz-e-tamāshā bhī chāhiye
duniyā ko haal hī nahīñ huliya bhī chāhiye
ai dil kisī bhī tarah mujhe dastiyāb kar
jitnā bhī chāhiye use jaisā bhī chāhiye
dukh aisā chāhiye ki musalsal rahe mujhe
aur us ke saath saath anokhā bhī chāhiye
ik zaḳhm mujh ko chāhiye mere mizāj kā
ya.anī harā bhī chāhiye gahrā bhī chāhiye
ik aisā vasf chāhiye jo sirf mujh meñ ho
aur us meñ phir mujhe yad-e-tūlā bhī chāhiye
rabb-e-suḳhan mujhe tirī yaktā.ī kī qasam
ab koī sun ke bolne vaalā bhī chāhiye
kyā hai jo ho gayā huuñ maiñ thoḌā bahut ḳharāb
thoḌā bahut ḳharāb to honā bhī chāhiye
hañsne ko sirf hoñT hī kaafī nahīñ rahe
'javvād-shaiḳh' ab to kaleja bhī chāhiye
Top Urdushayar.com