hazār sahrā the raste meñ yaar kyā kartā
jo chal paḌā thā to fikr-e-ġhubār kyā kartā
kabhī jo Thiik se ḳhud ko samajh nahīñ paayā
vo dūsroñ pe bhalā e'tibār kyā kartā
chalo ye maanā ki iz.hār bhī zarūrī hai
so ek baar kiyā, baar baar kyā kartā
isī liye to dar-e-ā.ina bhī vā na kiyā
jo so rahe haiñ unheñ hoshiyār kyā kartā
vo apne ḳhvāb kī tafsīr ḳhud na kar paayā
jahān bhar pe use āshkār kyā kartā
agar vo karne pe aatā to kuchh bhī kar jaatā
ye soch mat ki akelā sharār kyā kartā
sivā.e ye ki vo apne bhī zaḳhm taaza kare
mire ġhamoñ pe mirā ġham-gusār kyā kartā
bas ek phuul kī ḳhātir bahār māñgī thī
rutoñ se varna maiñ qaul-o-qarār kyā kartā
mirā lahū hī kahānī kā rañg thā 'javvād'
kahānī-kār use rañg-dār kyā kartā