vo jo mumkin na ho mumkin ye banā detā hai
ḳhvāb dariyā ke kināroñ ko milā detā hai
zindagī bhar kī riyāzat mirī be-kār ga.ī
ik ḳhayāl aayā thā badle meñ vo kyā detā hai
ab mujhe lagtā hai dushman mirā apnā chehra
mujh se pahle ye mirā haal batā detā hai
chand jumle vo adā kartā hai aise Dhab se
mere afkār kī buniyād hilā detā hai
ye bhī e.ajāz-e-mohabbat hai ki rone vaalā
rote rote tujhe hañsne kī duā detā hai
zindagī jañg hai a.asāb kī aur ye bhī suno
ishq a.asāb ko mazbūt banā detā hai
baiThe baiThe use kyā hotā hai jaane 'taimūr'
jaltā cigaret vo hathelī pe bujhā detā hai
ye jahāñ is liye achchhā nahīñ lagtā 'taimūr'
jab bhī detā hai mujhe terā gilā detā hai