ishq ne jab bhī kisī dil pe hukūmat kī hai
to use dard kī me.arāj ināyat kī hai
apnī tā.īd pe ḳhud aql bhī hairān huī
dil ne aise mire ḳhvāboñ kī himāyat kī hai
shahr-e-ehsās tirī yaad se raushan kar ke
maiñ ne har ghar meñ tire zikr kī jur.at kī hai
mujh ko lagtā hai ki insān adhūrā hai abhī
tū ne duniyā meñ use bhej ke ujlat kī hai
shahr ke tīra-tarīñ ghar se vo ḳhurshīd milā
jis kī tanvīr meñ tāsīr qayāmat kī hai
sochtā huuñ ki maiñ aise meñ kidhar ko jā.ūñ
terā milnā bhī kaThin, yaad bhī shiddat kī hai
is tarah auñdhe paḌe haiñ ye shikasta jazbe
jaise ik vahm ne in sab kī imāmat kī hai
ye jo bikhrī huī lāsheñ haiñ varaq par 'javvād'
ye mire zabt se lafzoñ ne baġhāvat kī hai