Taimur Hasan

hum duniya se jab tang aaya karte hain

Taimur Hasan

Lahore, Punjab, Pakistan

1974
ham duniyā se jab tañg aayā karte haiñ
apne saath ik shaam manāyā karte haiñ
sūraj ke us jānib basne vaale log
aksar ham ko paas bulāyā karte haiñ
yūñhī ḳhud se rūThā karte haiñ pahle
der talak phir ḳhud ko manāyā karte haiñ
chup rahte haiñ us ke sāmne jā kar ham
yuuñ us ko chakh yaad dilāyā karte haiñ
nīndoñ ke vīrān jazīre par har shab
ḳhvāboñ kā ik shahr basāyā karte haiñ
in ḳhvāboñ kī qīmat ham se pūchh ki ham
in ke sahāre umr bitāyā karte haiñ
ab to koī bhī duur nahīñ to phir 'taimūr'
ham ḳhat kis ke naam likhāyā karte haiñ
Top Urdushayar.com