Shaad Aarfi

abhi to mausam-e-na-KHush-gawar aaega

Shaad Aarfi

1900-1964
abhī to mausam-e-nā-ḳhush-gavār aa.egā
phir is ke ba.ad payām-e-bahār aa.egā
ḳhulūs-e-ahd-e-vafā sāzgār aa.egā
kabhī to marhala-e-e'tibār aa.egā
jis anjuman meñ diloñ ke qarār luTte haiñ
us anjuman meñ pahuñch kar qarār aa.egā
lab-e-shagufta-o-mai-pāsh par shagūfoñ par
karoge ġhaur jahāñ tak nikhār aa.egā
yahī hai bazm-e-tarab-āfrīñ to jaatā huuñ
ye chāra-gar ne kahā thā qarār aa.egā
savāl-e-besh-o-kam-e-mai nahīñ magar saaqī
kabhī tujhe bhī shu.ūr-e-shumār aa.egā
pukārne pe jab aayā to terā dīvāna
kisī bhī naam se tujh ko pukār aa.egā
nisār-e-husn-e-mohabbat rahī hai dekhoge
kalī ke saath hī shāḳhoñ pe ḳhaar aa.egā
jo hai mizāj-e-bahār-e-chaman se nā-vāqif
barā-e-sair-e-chaman baar baar aa.egā
jinheñ qayās-o-shavāhid se vāsta hai unheñ
yaqīn-e-gardish-e-lail-o-nahār aa.egā
ye puḳhta-kār taġhazzul ḳhayāl ke bal par
ġhazal ke shar-e-qafas meñ guzār aa.egā
Top Urdushayar.com