Shaad Aarfi

jo bhi apnon se ulajhta hai wo kar kya lega

Shaad Aarfi

1900-1964
jo bhī apnoñ se ulajhtā hai vo kar kyā legā
vaqt bikhrī huī tāqat kā asar kyā legā
ḳhaar hī ḳhaar haiñ tā-hadd-e-nazar dīvāne
hai ye dīvāna-e-insāf udhar kyā legā
jaan par khel bhī jaatā hai sazāvār-e-qafas
is bharose meñ na rahiyegā ye kar kyā legā
pastī-e-zauq bulandī-e-nazar dār-o-rasan
un se tū māñgne jaatā hai magar kyā legā
rahbar-e-qaum-o-vatan us ko ḳhudā sharmā.e
ḳhud jo bhaTkā ho vo auroñ kī ḳhabar kyā legā
sham-e-mahfil kā baqiyyā hai faroġh-e-ummīd
shaam se jis kā ye aalam ho sahar kyā legā
bāġhbāñ koshish-e-bejā pe magan hai lekin
bhañg botā hai jo gulshan meñ samar kyā legā
shā.er-e-gauhar-e-be-āb-e-zamāna ai 'shād'
sher-fahmoñ se kabhī dād-e-hunar kyā legā
Top Urdushayar.com