kharī bāteñ ba-andāz-e-suḳhan kah duuñ to kyā hogā
adū-e-jān-o-tan ko jān-e-man kah duuñ to kyā hogā
nigahbān-e-vatan ko rāhzan kah duuñ to kyā hogā
kisī bhī bad-chalan ko bad-chalan kah duuñ to kyā hogā
ġharībī jin ke latte le ga.ī tā-hadd-e-uryānī
jo maiñ un ismatoñ ko sīm-tan kah duuñ to kyā hogā
añdhere ko añdhere hī kaheñge dekhne vaale
savād-e-shām ko sub.h-e-vatan kah duuñ to kyā hogā
ġhalat bātoñ pe duniyā kab tavajjoh sarf kartī hai
butoñ ko be-zabān o be-dahan kah duuñ to kyā hogā
kahīñ fitrat badal saktī hai nāmoñ ke badalne se
janāb-e-shaiḳh ko maiñ barhaman kah duuñ to kyā hogā
qad o gesū ko tum shamshād o sumbul kah ke kyā loge
qad o gesū ko maiñ dār-o-rasan kah duuñ to kyā hogā
sitāre toḌtī hai jab ki zarroñ kī tavānā.ī
sitāroñ ko tumhārī anjuman kah duuñ to kyā hogā
sadārat ke farā.ez jab adā hone nahīñ paate
agar maiñ tum ko sadr-e-anjuman kah duuñ to kyā hogā
vo but ai 'shād' jab ġhazloñ meñ dilchaspī nahīñ letā
maiñ us kī shaan meñ koī bhajan kah duuñ to kyā hogā