hudūd-e-akl-o-sharb kā savāl hī nahīñ rahā
diloñ meñ ḳhauf-e-rabb-e-zul-jalāl hī nahīñ rahā
ma.āl-e-arz-e-hāl kā malāl hī nahīñ rahā
vo bazm-e-ġhair thī mujhe ḳhayāl hī nahīñ rahā
jabhī to bāġhbāñ kī guftugū meñ jhol dekhte
kabhī kisī tarah kā ehtimāl hī nahīñ rahā
ye vasvase kī baat apne muñh se mat nikāliye
koī sharīk-e-hāl-e-pur-malāl hī nahīñ rahā
jalāl ko bhī vaqt ne samo diyā hai sher meñ
ġhazal kā matmah-e-nazar jamāl hī nahīñ rahā
tasalliyoñ ke zail meñ dilā rahe ho yaad kyuuñ
tabāhiyoñ kā jab mujhe ḳhayāl hī nahīñ rahā
mire bayān-e-hāl-e-dard-e-dil meñ chāra-kār ne
vo rañg bhar diyā ki merā haal hī nahīñ rahā
jahāñ shabāb-o-shaġhl-e-mai ne kho diye the hosh tak
maiñ bin-piye uThā to kuchh kamāl hī nahīñ rahā
ḳhudā-e-kār-sāz ke karam se 'shād'-ārfī
kabhī mujhe salīqa-e-savāl hī nahīñ rahā