kahtā hai bāġhbān lihāzā na chāhiye
varna chaman kā haal chhupānā na chāhiye
is mashvara ke saath ki charchā na chāhiye
dil kah rahā hai un pe bharosa na chāhiye
paḌ jaa.e ḳhadd-o-ḳhāl-e-manāzir pe raushnī
itne qarīb se bhī nazāra na chāhiye
ham ġhaur kar rahe haiñ to mahfil hai fikr meñ
uThnā na chāhiye ki uThānā na chāhiye
dastūr hai guzārish-e-ahvāl-e-vāqa.ī
qānūn ye nahīñ hai ki shikva na chāhiye
tūfān-e-inqalāb se māyūsiyoñ ke ba.ad
kashtī pukārtī hai kinārā na chāhiye
gul-hā-e-rañg-rañg meñ Thantī nahīñ kabhī
ham ko bhī is lihāz se jhagḌā na chāhiye
kaTtī hai aarzū ke sahāre pe zindagī
kaise kahūñ kisī kī tamannā na chāhiye
merā qusūr ye hai ki hubb-e-vatan meñ 'shād'
likhtā huuñ likh chukā huuñ jo likhnā na chāhiye