kyā kareñ gulshan pe joban zer-e-dām aayā to kyā
kyā tavaqqo inqalāb-e-nau nizām aayā to kyā
ab ye tāsīr-e-mohabbat par qasīda kyā zarūr
jazba-e-be-tābī-e-dil thā jo kaam aayā to kyā
aañkh se dil kī taraf dauḌe vo mai piite haiñ ham
ham vo mai-kash haiñ ki saaqī le ke jaam aayā to kyā
zo.af apnā toḌne detā hai zanjīreñ kahīñ
ham meñ dam kyā hai jo vaqt-e-intiqām aayā to kyā
maiñ samajhtā huuñ use āġhāz-e-mustaqbil-fazā
aap kahte haiñ koī bālā-e-bām aayā to kyā
ab vo iz.hār-e-haqīqat ke liye Darte nahīñ
ab vo kahte haiñ ḳhat us kā mere naam aayā to kyā
hai to nā-ehsāñ-shanāsī 'shād' lekin kyā karūñ
kaam ban saktā thā yuuñ bhī koī kaam aayā to kyā