hamārī ġhazloñ hamāre sheroñ se tum ko ye āgahī milegī
kahāñ kahāñ kārvāñ luTe haiñ kahāñ kahāñ raushnī milegī
jahāñ mileñge butoñ ke hoñToñ pe yuuñ to gahrī hañsī milegī
magar ba-bātin ḳhulūs o shā.istagī meñ vāzeh kamī milegī
usī samay ham ne un ko Tokā thā bāġhbāñ jab ye kah rahe the
bahār aate hī jī uThegā chaman na.ī zindagī milegī
sambhal sambhal kar qadam baḌhāte haiñ is tarah maslahat ke pairav
ki jaise sikke kī tarah raste meñ kāmyābī paḌī milegī
hameñ satā kar jo haiñ pashemān dil meñ shāyad vo bach bhī jaa.eñ
hameñ satā kar jo mutma.in haiñ unheñ sazā lāzmī milegī
bhare hue sāġhar o subū meñ sharāb bhar pā.egā na saaqī
to phir ġharīqān-e-aish-o-ishrat ko ḳhaak āsūdgī milegī
nahīñ hai insāniyat ke baare meñ aaj bhī zehn saaf jin kā
vo kah rahe haiñ ki jis se nekī karoge us se badī milegī
ġham-e-mohabbat ke ba.ad aatī hai sarhad-e-iltifāt-e-jānāñ
sharāb kī talḳhiyāñ sahoge to lazzat-e-be-ḳhudī milegī
ye bad-gumānān-e-anjuman 'shād' kis liye jaan kho rahe haiñ
naqāb uThāne ke ba.ad bhī us nigāh meñ barhamī milegī