Shaad Aarfi

sitam-gar ko main chaara-gar kah raha hun

Shaad Aarfi

1900-1964
sitam-gar ko maiñ chāra-gar kah rahā huuñ
ġhalat kah rahā huuñ magar kah rahā huuñ
butoñ meñ use jalva-gar kah rahā huuñ
baḌī baat hai muḳhtasar kah rahā huuñ
mujhe aaj kāñToñ ke muñh chūmne do
bahāroñ kā ruḳh dekh kar kah rahā huuñ
ye māthe pe shikneñ ye dāñtoñ meñ āñchal
to afsāna-e-mo'tabar kah rahā huuñ
usī vaqt aatī haiñ chehre pe zulfeñ
unheñ jab meñ nūr-e-sahar kah rahā huuñ
zamāne ke muñh par zamāne kī bāteñ
samajhne lagā huuñ agar kah rahā huuñ
ye dīvāngī hai ki hālāt haa.el
vo sunte nahīñ haiñ magar kah rahā huuñ
itaab o taġhāful hī achchhe the mujh ko
ma.āl-e-karam dekh kar kah rahā huuñ
jabhī 'shād' shā.er ko kahte haiñ jhūTā
ḳhizāñ meñ bhī maiñ sher-e-tar kah rahā huuñ
Top Urdushayar.com