uTh ga.ī us kī nazar maiñ jo muqābil se uThā
varna uThne ke liye ġhair bhī mahfil se uThā
baiTh kar lutf na tū sāya-e-bātil se uThā
chal ke ārām uThānā hai to manzil se uThā
aa ke mahfil meñ tirī kaun mire dil se uThā
koī uTThā bhī mirī tarah to mushkil se uThā
saath aatā hai to lahroñ ke thapeḌe mat gin
mauj se lutf uThānā hai to sāhil se uThā
haath meñ jaan uThānā to baḌī baat nahīñ
koī patthar koī kāñTā rah-e-manzil se uThā
qurb-e-sāhil ke takabbur meñ jo kashtī Duubī
koī chhoTā sā babūla bhī na sāhil se uThā
be-dilī haa.e tamannā ki na duniyā hai na diiñ
jis taraf tujh ko uThānā hai qadam dil se uThā
vo jo nau-vārid-e-ulfat haiñ unheñ kyā ma.alūm
kis liye aaj maiñ sañg-e-dar-e-qātil se uThā
shaiḳh par haath uThāne ke nahīñ ham qaa.el
haath uThāne kī jo Thānī hai to bātil se uThā
aaj us kufr-e-sarāpā ne sañvāre gesū
aaj bikhrā huā parda ruḳh-e-bātil se uThā
'shād' ik rahbar-e-makkār se rahzan achchhā
koī nuqsān uThānā hai to jāhil se uThā