Shaad Aarfi

chahte hain ghar buton ke dil mein hum

Shaad Aarfi

1900-1964
chāhte haiñ ghar butoñ ke dil meñ ham
haiñ junūñ kī āḳhirī manzil meñ ham
giit gaate haiñ qafas manzil meñ ham
koste jaate haiñ lekin dil meñ ham
ye to mat mahsūs hone dījiye
ajnabī haiñ aap kī mahfil meñ ham
mai-kade ke chor-darvāze bhī haiñ
aa to jaa.eñ shaiḳh kī manzil meñ ham
ḳhud-fareboñ ko payām-e-āgahī
mubtalā haiñ sa.i-e-lā-hāsil meñ ham
duur se aatā hai mub.ham sā javāb
deñ use āvāz jis manzil meñ ham
rok leñ palkoñ pe aañsū kī tarah
kyā samo deñ mauj ko sāhil meñ ham
sochiye āḳhir vo kyā hālāt haiñ
jā rahe haiñ kūcha-e-qātil meñ ham
jī na mailā kījiye fariyād par
haiñ pashemāñ āp-apne dil meñ ham
ham ġhalat ruj.hān rakhte the ki aap
aap se pūchheñge mustaqbil meñ ham
nā-shanāsān-e-adab ke haath se
'shād'-sāhib haiñ baḌī mushkil meñ ham
Top Urdushayar.com