intizār thā ham ko ḳhushnumā bahāroñ kā
ye qusūr kyā kam hai ham qusūr-vāroñ kā
āftāb chehra thā jin sharāb-ḳhvāroñ kā
daaġh daaġh huliya hai un kā siyāhkāroñ kā
sa.ī-e-infirādī bhī naqsh chhoḌ jaatī hai
bujh gayā hai manzil tak naqsh rahguzāroñ kā
ek roz kho degā etimād-e-zātī bhī
aasrā takā jis ne dūsre sahāroñ kā
jis meñ shahd-lab hogā kal baḌā adab hogā
aaj nā-munāsib hai zikr māh-pāroñ kā
rahnumā-e-rah-rav meñ sham-e-bazm-e-ishrat ne
hasb-e-hāl paayā hai mudda.ā sitāroñ kā
aap hazrat-e-zāhid us se kuchh nahīñ kahte
'shād' bhī to sāthī hai ham gunāhgāroñ kā