ahd-e-māyūsī jahāñ tak sāzgār aatā gayā
apne-āpe meñ dil-e-be-iḳhtiyār aatā gayā
kuchh sukūñ kuchh zabt kuchh rañg-e-qarār aatā gayā
al-ġharaz iḳhfā-e-rāz-e-qurb-e-yār aatā gayā
uḌte uḌte us ke aane kī ḳhabar miltī rahī
baal khole muzhda-e-gesū-e-yār aatā gayā
rafta rafta merī al-ġharzī asar kartī rahī
merī be-parvā.iyoñ par us ko pyaar aatā gayā
jasta jasta lahlahāyā gulshan-e-zaḳhm-e-jigar
rafta rafta dasta-e-gul par nikhār aatā gayā
niiñd āñkhoñ meñ magar aatī ga.ī uḌtī ga.ī
dosh-e-nik.hat par payām-e-zulf-e-yār aatā gayā
us ne jis had tak bhī ham se dāstān-e-ġham sunī
ham ko is nisbat se fan-e-iḳhtisār aatā gayā
ġhāliban ye bhī hai merī kāmyābī kā sabab
apnī nākāmī pe ġhussa baar baar aatā gayā
un meñ shāmil muskurāte phuul bhī taare bhī haiñ
jin darīchoñ se shu.ūr-e-husn-e-yār aatā gayā
aage aage āshiyāne ḳhār-o-ḳhas chunte chale
pīchhe pīchhe taḳht-e-tā.ūs-e-bahār aatā gayā
is qadar nazdīk-tar aatī rahī qadmoñ kī chaap
jis qadar ḳhadsha ḳhilāf-e-intizār aatā gayā
us ke ruj.hān-e-nazar meñ dilkashī paate hue
e'tibār-e-gardish-e-lail-o-nahār aatā gayā
rañg lā.egī hamārī tañg-dastī ek din
misl-e-ġhālib 'shād' gar sab kuchh udhār aatā gayā