Shaad Aarfi

chaman ko aag lagane ki baat karta hun

Shaad Aarfi

1900-1964

chaman ko aag lagāne baat kartā huuñ

samajh sako to Thikāne baat kartā huuñ

sahar ko sham jalāne baat kartā huuñ

ye ġhāfiloñ ko jagāne baat kartā huuñ

ravish ravish pe bichhā do babūl ke kāñTe

chaman se lutf uThāne baat kartā huuñ

vo bāġhbān jo paudoñ se bair rakhtā hai

ye aap ke zamāne baat kartā huuñ

sharāb-e-surḳh maujoñ se mudda.ā hogā

agar maiñ ḳhuun bahāne baat kartā huuñ

vo sirf apne liye jaam kar rahe haiñ talab

maiñ har kisī ko pilāne baat kartā huuñ

yahāñ charāġh tale luuT hai añdherā hai

kahāñ charāġh jalāne baat kartā huuñ

is anjuman se uThā huuñ kharī kharī kah kar

phir anjuman meñ na aane baat kartā huuñ

dabī zabāñ se guzārish hai nāgavār agar

to kyā savāl uThāne baat kartā huuñ

naqāb-e-rū-e-zamāna na uTh sakegī ki maiñ

guloñ se os uThāne baat kartā huuñ

ghise ho.uuñ ko na.ī fikr de rahā huuñ 'shād'

mañjhe ho.uuñ ko sikhāne baat kartā huuñ

Top Urdushayar.com