Shaad Aarfi

zabt-e-nawak-e-gham se baat ban to sakti hai

Shaad Aarfi

1900-1964
zabt-e-nāvak-e-ġham se baat ban to saktī hai
aadmī kī uñglī meñ phāñs bhī khaTaktī hai
kyā kisī navāzish kī poll khol dī maiñ ne
aañkh jheñptī kyuuñ hai kyuuñ zabāñ bahaktī hai
ham-qafas nasīboñ se gulsitāñ kā kyā rishta
jis tarah koī Daalī TuuT kar laTaktī hai
sāthiyo thake-māñde hārte ho himmat kyuuñ
duur se koī manzil din meñ kab chamaktī hai
kaam azm-o-himmat se insirām paate haiñ
kāhilī kī mat suniye kāhilī to biktī hai
jis ko nik.hat-o-gul se vāsta nahīñ hotā
ḳhush-libās phūloñ meñ vo nazar bahaktī hai
'shād' in añdheroñ meñ kahkashāñ kī manzil se
raat ke guzarne kī sub.h raah taktī hai
Top Urdushayar.com