'shād' uftād-e-har-nafas mat pūchh
hazrat-e-qāzī-o-asas mat pūchh
ḳhuun bhī hai rag-e-hamiyyat bhī
kyuuñ nahīñ log Tas se mas mat pūchh
phuul kāñToñ meñ tū ne dekhā hai
mujh se hālāt-e-pesh-o-pas mat pūchh
kyā mirī aarzū se vāqif hai
vo nigāh-e-daqīqa-ras mat pūchh
āshiyān-o-chaman ke dil-dāda
tū kabhī vus.at-e-qafas mat pūchh
chīstāñ hai fareb-e-āzādī
sharh-e-ijmāl ko taras, mat pūchh
qatl kā hukm hī sahī lekin
hai jo us ke gale meñ ras mat pūchh