Shaad Aarfi

honTon par mahsus hui hai aankhon se madum rahi hai

Shaad Aarfi

1900-1964
hoñToñ par mahsūs huī hai āñkhoñ se ma.adūm rahī hai
phulvārī kī ''nighat-dulhan'' phulvārī meñ ghuum rahī hai
us kā āñchal aur āveze merā māthā chuum rahī hai
phir bhī chashm-e-bad-tīnat pur-ulfat lā-ma.alūm rahī hai
har mai-kash kī zehnī laġhzish is mehvar par ghuum rahī hai
jaise vo sambhlā baiThā hai jaise mahfil jhuum rahī hai
chunñā hai to muskāne se pahle chun lo koī kalī bhī
gulshan meñ khilne se pahle tak be-shak ma.asūm rahī hai
tum ishrat se fāriġh ho kar mujh se pūchho maiñ vāqif huuñ
kis kis bechāre kī ḳhvāhish naġhmoñ se mahrūm rahī hai
is se us se merī bābat rozāna sargoshī ya.anī
bante kyuuñ ho merī hālat tum ko bhī ma.alūm rahī hai
piine vāloñ ke kahne se ġham se chhuTkārā paane ko
pī kar bhī merī tanhā.ī māyūs o maġhmūm rahī hai
aariz aariz sub.h-e-bahārāñ gesū gesū shām-e-nasheman
vo kyā jaane jis kī ġhaflat jalvoñ se mahrūm rahī hai
maiñ taḳh.īlī naḳhlistāñ meñ āñkheñ band kiye baiThā huuñ
merī mustaqbil-andeshī manzil manzil ghuum rahī hai
varna sīdhe-sāde sajde varna sīdhī-sādī hamdeñ
duniyā kyā aur kyuuñ ke hāthoñ bhārī patthar chuum rahī hai
hamdardī ke muñh par fan kī āñkheñ khultī haiñ ai 'shād'
goyā insānī hamdardī shā.er kā maqsūm rahī hai
Top Urdushayar.com