mayassar jin kī nazroñ ko tire gesū ke saa.e haiñ
ġhazal ke ḳhushnumā uslūb un ke haath aa.e haiñ
yagāne aur begāne ta.assub ne banā.e haiñ
vagarna sumbul o gul ek hī gulshan ke jaa.e haiñ
haqīqat nāgavār-e-ḳhātir-e-nāzuk na ban paa.ī
kuchh is taknīk se ham ne unheñ qisse sunā.e haiñ
to vo andāz jaise merā ghar paḌtā ho raste meñ
pa.e-iz.hār-e-hamdardī vo jab tashrīf laa.e haiñ
naqāb-e-ruḳh ulaT kar us ne chashm-e-shauq ke parde
samajh meñ kuchh nahīñ aatā uThā.e haiñ girā.e haiñ
damaktā hai jabīn-e-nāz par rañg-e-pashemānī
ab un se kyā kahā jaa.e ki ye sadme uThā.e haiñ
lagāvaT kī nigāhoñ ne charāġh-e-ārzū-e-mandī
jalā.e haiñ bujhā.e bujhā.e haiñ jalā.e haiñ
jinheñ mīnā-e-mai hāsil hai jin ko durd-e-paimāna
vo jaise aap ke apne haiñ ye jaise parā.e haiñ
taġhāful kī koī had bhī to honī chāhiye āḳhir
bil-āḳhir bin bulā.e ham tirī mahfil meñ aa.e haiñ
nazar aate haiñ taare is tarah sāvan kī rātoñ meñ
kisī ne phuul kāġhaz ke samundar meñ bahā.e haiñ
yaqīñ hai 'shād' mujh ko kulliyāt-e-nazm-e-fitrat se
guloñ ne rañg-o-nik.hat ke bahut mazmūñ churā.e haiñ