chaman ko aag lagāne kī baat kartā huuñ
samajh sako to Thikāne kī baat kartā huuñ
sharāb-e-talḳh pilāne kī baat kartā huuñ
ḳhud-āgahī ko jagāne kī baat kartā huuñ
suḳhanvaroñ ko jalāne kī baat kartā huuñ
ki jāgtoñ ko jagāne kī baat kartā huuñ
uThī huī hai jo rañgīnī-e-taġhazzul par
vo har naqāb girāne kī baat kartā huuñ
is anjuman se uThūñgā kharī kharī kah kar
phir anjuman meñ na aane kī baat kartā huuñ
yahāñ charāġh tale luuT hai añdherā hai
kahāñ charāġh jalāne kī baat kartā huuñ
vo bāġhbān! jo phūloñ se bair rakhtā hai
ye aap hī ke zamāne kī baat kartā huuñ
ravish ravish pe bichhā do babūl ke kāñTe
chaman se lutf uThāne kī baat kartā huuñ
vahāñ sharāb pilātā huuñ ahl-e-bīnash ko
jahāñ bhī ḳhuun bahāne kī baat kartā huuñ
mizāj-e-husn kahīñ bad-maza na ho jaa.e
adal badal ke fasāne kī baat kartā huuñ
magar fareb-dahī meñ darkār hai achhūtā-pan
tire fareb meñ aane kī baat kartā huuñ
vahīñ se sher meñ barjastagī nahīñ rahtī
jahāñ se haal chhupāne kī baat kartā huuñ
pilā rahā huuñ maiñ kāñToñ ko ḳhūn-e-dil ai 'shād'
guloñ ke rañg uḌāne kī baat kartā huuñ