Faiz rahil Khan

jism ki ret bhi muTThi se phisal jaegi

Faiz rahil Khan

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1994
jism kī ret bhī muTThī se phisal jā.egī
maut jab ruuh liye ghar se nikal jā.egī
sub.h aa.egī janāze meñ liye sūraj ko
yād-e-māzī meñ agar raat pighal jā.egī
ag ke bas meñ nahīñ apnī hifāzat karnā
to faqat mom jalā aag bhī jal jā.egī
ḳhāna-e-dil meñ basī chashm-e-lahū māñgeñ hai
sochtā thā ki khilaune se bahal jā.egī
shaam jab lauT ga.ī chhoḌ ke tanhā tujh ko
tā mujhe chhoḌ ke ab raat bhī Dhal jā.egī
ashk niklegā dhuāñ ban ke isī mahfil se
sham.a jab kuud ke us aag meñ jal jā.egī
paañv phislā to giregī vo kisī daldal meñ
zindagī maut nahīñ hai ki sambhal jā.egī
Top Urdushayar.com