Faiz rahil Khan

ghamon ki bhiD ne kuchla hai mujhko shadmani mein

Faiz rahil Khan

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1994
ġhamoñ kī bhiiḌ ne kuchlā hai mujh ko shādmānī meñ
lagānā chāhtā thā tishnagī kī aag paanī meñ
har ik shai uḌ ga.ī merī havāoñ kī ravānī se
simaT ke rah ga.ī ḳhvāhish vafāoñ kī javānī meñ
hamesha chashm meñ rahnā mujhe achchhā nahīñ lagtā
maiñ rahnā chāhtā huuñ ai samundar tere paanī meñ
tirī bastī ke mujre se tirī auqāt kyā pūchhūñ
gad.he bhī sher ban jaate apnī mezbānī meñ
maiñ paḌh kar hosh kho baiThā tire qisse ko ai furqat
mohabbat kā nasha hai is shab-e-ġham kī kahānī meñ
vo piilī oḌhnī vaalī abhī bhī dil meñ rahtī hai
ye laḌkā kho gayā hai us ke rañg-e-zāfrānī meñ
vo jis din 'faiz' aa.egī merī chaukhaT pe milne ko
usī din mo.ajiza hogā mirī bhī zindagānī meñ
Top Urdushayar.com