Faiz rahil Khan

nind aa jae to lamhat mein mar jate hain

Faiz rahil Khan

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1994
niiñd aa jaa.e to lamhāt meñ mar jaate haiñ
din se bach nikle badan raat meñ mar jaate haiñ
karte haiñ apnī zabāñ se jo diloñ ko zaḳhmī
dab ke ik din vo isī baat meñ mar jaate haiñ
yaad aatī hai terī jab bhī gulābī bāteñ
Duub kar tere ḳhayālāt meñ mar jaatā huuñ
jab kabhī jaate haiñ ahbāb kī shādī meñ ham
jāneñ kyuuñ jaate hī sadmāt meñ mar jaate haiñ
laḌne kī taab to miTTī ke makānoñ meñ hai
kāñch-ghar mausam-e-barsāt meñ mar jaate haiñ
tab koī Duub ke paanī meñ fanā hotā hai
ḳhvāb jab talḳhī-e-hālāt meñ mar jaate haiñ
jab havā baaġh se kahtī hai ḳhizāñ aa.ī hai
bāġhbāñ phuul liye haat meñ mar jaate haiñ
Top Urdushayar.com