qadam qadam pe khaḌī hai havā payām liye
ki aa rahī hai ḳhizāñ apnā intizām liye
kisī faqīr kā jis ne na ehtirām kiyā
vo masjidoñ meñ milā mujh ko ehtirām liye
tire azaab meñ mar kar tire darīche se
maiñ jā rahā huuñ mohabbat kā intiqām liye
mujhe galī meñ dukhī hai faqat ziyā ya.anī
chalī ga.ī hai siyāsat duā salām liye
mujhe bhī yaad ke jugnū pukārte haiñ 'faiz'
añdherī raat meñ aksar kisī kā naam liye