Taskeen Dehlavi

us ku main hue hum wo lab-e-baam na aaya

Taskeen Dehlavi

Delhi, India

1803-1851
us kū maiñ hue ham vo lab-e-bām na aayā
ai jazba-e-dil tū bhī kisī kaam na aayā
thā merī tarah ġhair ko bhī dāva-e-ulfat
nāseh tū use dene ko ilzām na aayā
be-bāl-o-parī khotī hai tauqīr-e-asīrī
sayyād yahāñ le ke kabhī daam na aayā
is naaz ke sadqe huuñ tire maiñ ki udū se
sau baar sunā hai pe mirā naam na aayā
kyā jāniye kis tarah diyā tū ne javāb aah
qāsid kī zabāñ par tirā paiġhām na aayā
taskīn' karūñ kyā dil-e-muztar kā ilaaj ab
kam-baḳht ko mar kar bhī to ārām na aayā
Top Urdushayar.com