kar sake dafn na us kūche meñ ahbāb mujhe
ḳhaak meñ dil kī kudūrat ne diyā daab mujhe
hijr meñ paas na hai zahr na ḳhanjar afsos
na diye maut ke bhī charḳh ne asbāb mujhe
qāsid aayā hai vahāñ se to zarā tham ai hosh
baat to karne de us se dil-e-betāb mujhe
nām-e-taskīñ' pe ye mazmūn-e-tapish nā-zebā
thā taḳhallus jo sazā-vār to betāb mujhe