kyā kyā maze se raat kī ahd-e-shabāb meñ
chhoḌūñ na umr-e-rafta gar aa jaa.e ḳhvāb meñ
ik dil ke vāste ye phañse vo azaab meñ
rahte haiñ apnī zulf hī ke pech-o-tāb meñ
hai shauq-e-vasl tujh se lipaTtā huuñ baar baar
varna ye mastiyāñ to nahīñ thiiñ sharāb meñ
itnī na kiije jaane kī jaldī shab-e-visāl
dekhe haiñ maiñ ne kaam bigaḌte shitāb meñ
ho jaa.e chaak siina ki dil ghuT ke mar chalā
ai chāra-jū kisī ko phañsā mat azaab meñ
kar bahr o bar kī hasti-e-mauhūm par nazar
thoḌī sī ḳhaak Daal dī chashm-e-pur-āb meñ
tab qatl-gah meñ qatl-e-udū ko chale haiñ vo
merā lahū milā ke piyā jab sharāb meñ
kin mehnatoñ se vasl pe raazī hue haiñ vo
sau nāma-bar hue jo savāl o javāb meñ
aḳhtar-shumāriyoñ meñ nikaltā hai dam kahīñ
'taskīñ' tumhīñ ko daḳhl nahīñ hai hisāb meñ