be-mehr kahte ho use jo bevafā nahīñ
sach hai ki bevafā huuñ maiñ tum bevafā nahīñ
uqda jo dil meñ hai mire hone kā vā nahīñ
jab tak ki aap kholte zulf-e-dotā nahīñ
ayyārī dekhnā jo gale milne ko kaho
kahtā hai maiñ to tum se huā kuchh ḳhafā nahīñ
ashkoñ ke saath qatra-e-ḳhūñ thā nikal gayā
siine meñ se to dil ko koī le gayā nahīñ
jaltā hai sāda-lauhī pe kyā apnī jī mirā
dil le ke ab jo baat vo kartā zarā nahīñ
vo pur-ḳhatar hai vādi-e-ulfat ki raah meñ
kahte haiñ ḳhizr haa.e koī rahnumā nahīñ
kartā huuñ terī zulf se dil kā mubādala
har-chand jāntā huuñ ye saudā burā nahīñ
kaise vo talḳh-tar haiñ mire shor-e-ishq se
qismat se apnā chāhne meñ bhī mazā nahīñ
josh-e-junūñ meñ sar pe uḌā.eñ kahāñ se ḳhaak
dil kyā gayā ġhubār hī jī meñ rahā nahīñ
dekhūñ to le hai jaan malak-ul-maut kis tarah
tum vaqt-e-marg paas se uThnā zarā nahīñ
'taskīñ' ne naam le ke tirā vaqt-e-marg aah
kyā jaane kyā kahā thā kisī ne sunā nahīñ