gar mere baiThne se vo āzār khīñchte
to apne dar kī aa ke vo dīvār khīñchte
naaz o adā o ġhamza se yuuñ dil liyā mirā
le jaa.eñ jaise mast ko hushyār khīñchte
vā hasratā huī unheñ aane kī tab ḳhabar
laa.e jab us galī meñ mujhe yaar khīñchte
aa.egā un ke kahne se vo gul yahāñ talak
kāñToñ pe kyuuñ haiñ ab mujhe aġhyār khīñchte
vaañ shauq jāliyoñ kā hai us jāma-zeb ko
yaañ apne pairahan se haiñ ham taar khīñchte
teġh-e-nigāh-e-yār uchaTtī lagī hai phir
barsoñ guzar ga.e mujhe āzār khīñchte
kahte haiñ shab vo kahte the aatā hai jī ghuTā
naale jo ham rahe pas-e-dīvār khīñchte
āzurda un ko dekhte hī jaañ nikal ga.ī
vo dekh mujh ko rah ga.e talvār khīñchte
taskīn' kā chaak chaak huā dil jo shāne ko
dekhā kisī kā turra-e-tarrār khīñchte